Tanhai me aansu gir kar fanaa ho gaye,,,
Pal do pal me gulshan sehra ho gaye,,,
Wo aaye hamari zindagi me kuch aise
Koi kagaz kalam bayaan na kar sake jaise,,
Saath guzaara har lamha, awaaz deta hai,
Reh reh kar gurbat me muskurane ki aas deta hai,,
Wo muskurahat, jise dekhkar hum jee uthte,,,
Patjhar me jaise phool khil uthe,,,
Har lamha intezaar rehta tha,,,
Tere kadmon ki aahat ke liye dil bekarar rehta tha,,
Moti bane aanso unke hamari yaad me,,
Par wo izhaar na kar sake apni fariyaad me,,
Wo chehra dekh, tashn lab kuch bayan na kar sake
Darte the shayad naqab posh me ruswa na kar de
Parwana jalta hai, tadapta hai hardum aag me,,
Par afsos shama ko uski mohabbat ka andaza nahi,,
Na jaane kam zarf ho gaye hamare apne,,
Aur bad-bakht bane kaamil sapne,,
Dil-e-jigar dard-e-nasoor ban gaye,,
Apni hi parchayi kafan bana kar so gaye,,
Ek aas lagaye ruh palath kar nida karti hai,,
Purnam nigaah se humdum ka jawaab talab karti hai,,
Jaate hue lamho ko rok le koi,,
Gurbat me mili saansein rok lo koi,,
Tadap rahi hai jaan,kuch aur pal jeene ko
Ki maut kehti hai,,koi ba'ab nahi rukhsat ko,,
Written By Murtaza Patanwala