Main tere khyaalo me duub kar
Apni chaahato se, apni wafaao ka
Ek haseen tajmahal taameer to kar du
Magar mere mehboob
Kuchh dard bhari karaahe
Kisi bhooke ki sadaaye
Nange rote-bilakhte bachche
Bam Se Tabaah Koi Dilkharaash Manzar
Mujhe Waapis Kheench Laate Hain
Haqeeqat Me, Dard Bhari Haqeeqat Me
Kandho Pe Phaile Tere Baalo Ko
Teri Aankho Ke Kaajal Ko
Main Raat Se Taabeer To Kar Du
Magar Mere Mehboob
Ye Raat, Ye Kaali Raat
Ye Raat, Ye Kaali Raat
Kitne Zulm Ko, Kitni Nafrato Ko Samoye Hai
Kitne Maasoomo Ko
Gehre Kaale Khoon Me Bhigoye Hai
Ye Jo Aag Mere Dil Me Lagi Hai
Ishq Ki, Judaai Ki
Milan Ke Baad Bujh To Jaayegi
Jaise Paani Se Aag
Magar Mere Mehboob
Ik Baahar Lagi Hai, Andar Se Bhi Shadeed
Jal Rahe Hain Jangal, Sehra Aur Pahaad
Jal Rahe Hain Makaan-O-Dukaan
Aur Jal Rahi Hai Insaaniyat
Hamaari Mohabbat To Jawaan Hai
Aur Jawaantar Hoti Jaayegi
Dilo Me, Khyaalo Me, Jazbo Me Hamaare
Magar Mere Mehboob
In Haalaat Me, Aise Zamaane Me
Kya Hamaari Mohabbat Manzil Ko Paayegi
Wo Khwaab Jo Teri Aankho Me Machal Rahe Hain
Kya Haqeeqat Ban Paayenge
Written By Zafar Iqbal
No comments:
Post a Comment