Khali Annkein Aur Unke Khamosh Khwab.,
Jin Ke Tabeer, Aur Fatah Dur Tak Nahi..
Hawaalah Takleef ka, Aur Uska Muskarata Roop .,
Insaan Shuru Me Rota, Magar Ye Aansoo Daayemi Nahi..
Jin Ke Tabeer, Aur Fatah Dur Tak Nahi..
Hawaalah Takleef ka, Aur Uska Muskarata Roop .,
Insaan Shuru Me Rota, Magar Ye Aansoo Daayemi Nahi..
Zamiir Ke Khalish, Aur Inkaar Is Sachai Se.,
Lekin, Hemaayati Aanso Ka, In Sab Se Koi Sauda Nahi..
Hai Kyu Ye Ubarte Sifat-e-atish Ban Kar ...
Magar Is Me Bhi In Ka Apna Koi Kasoor Nahi ..
Ishaarah Kai Bar Zindaan Ke Taraf Ko...
Jahan Jalte Hoe khwabo Ko koi Madad nahi..
Khwab Ik Daire Se Dusre Daire Ko Chu Jate.,
Bas Zindagi Ka Us Se Wafa Ka Taqaza Nahi..
Abhi Bhi Waqat Hai Sana Aakiri Zarb Tay Karne Ka.,
Par Itni Asani Se In Khwabon Se Dast-Bar-Daari Nahi.
Written By Sana Ahmad
nice yaar..:)
ReplyDeletenysh..!!
ReplyDeletethanks alot :)
ReplyDeletevery nice dear
ReplyDeleteKhali Annkein Aur Unke Khamosh Khwab.,
ReplyDeleteJin Ke Tabeer, Aur Fatah Dur Tak Nahi..
bohat khoob likha he ap ne .........likhte rahein