October 8, 2009

**** yeh Zindagi bhi ek khel hai ****


 Ye Zindagi bhi ek khel hai

kanhi dhoop kanhi chaaya hai

kabhi din hai kabhi raat hai

kabhi chehrai pe muskaan hai

kabhi dukh ki rekhaa hai

jismein naa jaanai kitne hi khwaab hain

jo mil gaya woh apnaa hai

jo toot gaya woh sapna hai

phir bhi humein badte jaana hai

har haal main chaltai jaana hai

jindagi ki saari muskiloon ko paar karna hai

Aur humein is khel mein vjiayi hona ha


Written By kshitij Mehta





love

**** Jane Nahi Paunga Fir Kabhi ***


Dur unha khada hain School,
Lekin Hay,ja nahi payunga aur,
Mamta, shasti sab kho gaya,
Sab Bandhan gaya tutke....

Bada hi aapna sa tha-Neem,Mehgonise ghira,
Aaj bhi pukarta hay woh khel ka maidan,
Par Kho diya haq jane ka maidan mein,
Dil hay bechain aj vi,
Aur na ja payunga wahan kabhi....

Bada hi pyara tha woh maidan...maidan ka dhuul,
Jahan karte the hum khel-kund,
School ke function mein eksaath gaate the apna jayagaan,
Jo chhodke Aaj hum de rahe hain slogan...

swet-shyam ke vo sunhare din...
dekar yaad chale jaate hai
jaise haath faila kar bula raha hai koi,
sunai deti hai vo doston ki aawaz,
per aaj nahi,aaj sab hai khali,
shant hai maidaan,aur khamoshi hai faili,
bula rahi hai vo imarat,bulata hai vo maidaan,
per aaj nahi koi saath mere,khamoshi hai faili..............


 Written By Subhrajoti