November 21, 2009

❉❥ Na Main Heer, Na Tu Hai Raanjha ❥❉


Na Main Heer, Na Tu Hai Raanjha
Pyar Me Dard Magar Hai Sehna

Mile Jo Ranjha Ban Kar Mujhe Tum
Husn Mera, Ho Gaya Kaatil Tera

Pyar Se, Bahut Chaao Se Tum Kehte
Meri Heer Tu Meri Raato Ka Taara Hai
Koyal Jaisi Meethi Hai Aawaaz Teri
Kaano Me Ghol Di ho Jaise Misri Ki Dali
 
Meri Zulfo Ko Chhu Jaate Tere Lab 
Bhar Ke Aankho Me Ajeeb Si Shararat
Chal Pade Hum Anjaan Safar Par
Kabhi Socha Na Anjaam Humne
 
Mohabbat Se Laga Jo Dar Thaa 
Khabar Hui Mujhe Aur Zamaane Ko

Piya Maine Zeher Ka Pyaala Pyaar Me
Mehndi Ka Rang Hua Laal Khoon Se
Siya Tune Zakhmo Ko Kaanto Se
Machal Uthi, Tadap Uthi Dharti Fir Se
Heer Raanjha Ki Daastaan Se
 
Written By Sana Ahmad 
 


November 19, 2009

❥ Khushi Aur Muskan Ki Bagawat Mujh say ❥


Khushi Aur Unki Mohabbat Ki Jo Dua Mangi Hum Nai
Mila Sirf Dard -E -Tanhai Aur Bichadne Ka Ghum Hum KO

Naseeb Mein Jo Likha Tha Judaai ka Ghum Sehna
Jab Bicharna Hi Tha To Kya Fir Milna Zaroori Tha Hum KO

Saza Ye Hum Ko Kaise Mile Mohabbat Karne Par
Ke khud Muskan Nai Bagawat KI Hum Say Aur Deya Aansoo Hum KO

   
Written BY Sana Ahmad 

November 18, 2009

❃✿❉❥ Dedicate This Hindi Poem To My brother chote Bhai ❥❉✿❃


 Masti Ki Kuch Pal Jo Guzar Rahe Hai In Ki Saath Kuch Is Tarha 
Aisa Lagnay Laga Ki Ye Ajnabi Buhat Apna Sa Hai Kuch Is Tarha

Khud Rote Hai Par Hansate Hai Hum Ko Ye Roz Kuch Is  Tarah
Na Cho Saka Ho Koi Ghum In Ko Muskurata Hain Kuch Is Tarah

Mizaaj Main Hai Garmi, Par Hai Badsha Ye Apney Duniya Ki
Tabhi To Dete Hai Nazrana Hum Apne Dosti Ka In Ko Kuch Is Tarha

Apney Shesha-E-Dil Mein Rakhte Hai Chupa Kar Sare Khazane
Aah Nahi Deta Apnay Khazano Ki, Par Chupa Leta Apne Sine Main Is Tarha

Har Ada Ho In Ki Mohabat Jaise, Par Cheera In Ka Heera Jaisa Lagta Hai 
Woh Alag Baat Hai Heera Nikalta Hai Kyole Ki Kaan Se Is Tarha

Dost To Hai In Ki Buhat Say, Par Mujh Jaisa Koi Dost Bhi Nahi Hoga In Ka
Jo Dost Ho, Bhen Ho, Sab Se Alag Ho,  Sab Se Juda Aur Nayab Ho Moti Ki Tarah

Phele Ye Na Socha Tha, Sana Ka Bhai Agar Zafar Bhai  Jaisa Na Hota,
To Shayad Fir Ye Rishta Kabhi Heere Moti Jaisa Bhi Na Hota Kuch Is Tarha

Written By Sana Ahmad 




November 15, 2009

*** Kon Hai Waha Jo Sapno Me Jau ***

Vishwas na hota
woh thokra gaye jindagi mein
hum unka intezar mein baitha raha
Aksar Log Humari halat dekh ke Khte
Tumko Mil Jai Ge Tumhare Chahat
"Sapno Mein" ...

waha Ak Choti Si H Duniya
Jahan Milte H Thodi Si Khushi
Sang Jiwan ka Safar
Suhana Ho Ga Waha

Phir Sochta Hoon
Kon Hai Mera Waha
Jo Mera intejar karta Ho
Or Jab Hai Hi Nahi Koi waha
To Kaise Kisi Ke Dil Ko Chu Jau



Pr Sapno Se Ab Bas Ati hai Babasi


Ghum Or Sirf Khudkusi

Written By Amar Prakash Gupta