September 29, 2010

❃✿❉❥ na jaane aaj kya hua hai ❥❉✿❃


Na jaane aaj kya hua hai,,
Na jaane ye kaisi khamoshi hai,,
Na jaane ye hum kiski chahat me yun jal rahe hai,,
Na jaane kyon pal pal mar rahe hai,,
Na jaane wo hume chod kaha chale gaye,,
Na jaane hum akele kaha bhatak pade,,
Har aahat pe unki moujoodgi talab karte hai,,
Har lamha intezaar se sajaya karte hai,,
Har saans par wapasi ki umeed karte hai,,
Har lehze me tanhaai mehsoos karte hai,,
Har kisi se ruswaai qubool karte,,
Koi yun akela chod de, hume gawara nahi,,
Koi palath ke fir na dekhe, wo dost hamara nahi,,
Koi hamari chahat ko kamzori samjhe,, wo humsafar hamara nahi,,
Koi gurbat me hume kaid kar le,, wo darguzar hamara nahi,,
Hum dil ki teh par unhe, rakhte the,,
Hum aan parwana ban shama ki loh me jalte the,,
Hum ashko ho chupaaye unhe khushiyaan dete the,,
Hum na jaane kyon, bepanaah mohabbat unse karte the,,

Written By Murtaza Patanwala