October 27, 2010

❃✿❉❥ Hasee Shaam, Dhalta Hua Suraj ❥❉✿❃


Hasee shaam, dhalta hua suraj
Khula aasmaan aur jhaankta hua chaand
Mand mand thandi hawaa
Chai ki chuskiyaa, beparwaahi ke maahaul me
Ehsaasaat kahi khoye khoye
Aur manaazir me bhatakti nigaahe

Da’fatan nigaahe theher jaati hain

Shaam ke naakaamyaab andhere me
Kuchh tuute hue jism
Kuchh bikhri hui ruuhe
Kaandhe pe uthaaye koi laash
Chale jaate hain

Wo tuute hue jism

Wo bikhri hui ruuhe
Pehchaane se lagte hain
Jaise koi naadeeda sa puraana ta’alluq
Jaise koi bhuli hui yaad
Jaise bikhri hui khushbu

Mehngaai me uljhe hue

Kasht-o-khuun se sehme hue
Dimaag pe
Jab kuchh zor daala
Maiyyat ko bamushkil pehchaana

Wo tuute hue jism

Wo bikhri hui ruuhe
Khaamosh lab, be-roshan nigaahe
Apne naatawaa kaandho pe
Sach ki laash ko uthaaye
Chale jaa rahe hain

Written By Zafar Iqbal  



❃✿❉❥ I Meet Many People In My Life ❥❉✿❃


I Meet Many People In My Life
They all like me always
But no one loves me ever
Do u LOVE me forever...??

I meet many people in my life
They all trust me always
But no one keep faith on me ever
Do u keep Faith on me forever...??

I meet many people in my life
They all listen me always
But no one understands me ever
Do u Understand me forever...??

I meet many people in my life
I care for them always
But no one care me ever
Do u Care about me forever...??

I meet many people in my life
They all tells me the direction
But no one walks with me ever
Do u Walk with me forever...??

I meet many people in my life
I give support to them always
But no one support me ever
Do u Support me forever...??


Written By NALINI~~~~



❉❥ Kaafile teri YAAD ke DIL Mein aate rahe ❥❉


Kaafile teri YAAD ke DIL Mein aate rahe
Bahut der tak hum AANSUON mein nahate rahe
Bhulane ki KOSHISH ki magar KAMYAAB naa hue
Jitna bhulaya tum aur YAAD aate rahe

Bahut pucha hamare DOSTON ne magar
Hum naa jaane kya-kya BAHANE banate rahe
Sone ki KOSHISH bhi bahut ki magar
Teri adaaon ke MANZAR hamein RAAT bhar jagate rahe

Sab ko KHABAR lag gayi mere PYAR ki
Tera naam le lekar DOST hamein SATATE rahe
Hum bhi kitne PAGAL the tumhare PYAR mein
Apne DIL ki bekrari tumse Chhipate rahe

Written By: Sumit Kumar




❃✿❉❥ Agr inteha yhi thi to phle btana tha ❥❉✿❃


Agr inteha yhi thi to phle btana tha
pyar ka deepak ik mod phle bujhana tha
vo pyar k sapne, vo vaade, vo kasme sab fareb tha
tune to bs hme khud ki nazro mein giraana tha
naa din mein hosh tha naa raaton ka karaar tha
tujhe b pta tha mein tera kis kadar deewana tha
ye pyar ka gam, ye shel-e-ashk ghope hue
shayda kisi khata ka humein yu sabak sikhana tha
bejaan laash ko b duurr ddo lega SUMIT ab
aakhir pyar ki hanseen galati pe b to pachtana tha.

Written by: Sumit Kumar

✿❉✿❃✿❉❥ Gumnaam Insaan ❥❉✿❃✿❉✿



Kho chukaa huin apnai ghar kii chaar dewaari mein
Kho chukaa huin apnai hii bunnai jaal mein

Koi aatai jaatai paagal mujhe keh detaa hai
To koi mujhe dharti ka bhoj samajhtaa hai
Chaaro teraf chaaya andheraa hai
Dil deemaag sab kho chukaa hai
Apno ne rishta naata tod diyaa hai

Ya allah is bandai ki madad kar
Aaya hai aaj tere dwaar par
Aasha ki ek kiran liyai aaya huin aaj
Do diin bhar ki jindagi liyai
Hey bhagwaan teri sharan mein aaya huin aaj

Terai aashirwaad se kuch kar guzarnai ka mann hai
Terai diyai hue raastai pe chalkai jeevan sawaaranai ka mann hai

written by Kshitij Mehta 

✿❉✿❃✿❉❥ Ae Husn-E-Jawaa ❥❉✿❃✿❉✿

Ae husn-e-jawaa

Jaisa ki hamesha hai huaa

Waqt ek din karwat badlega
Hum jo ki aaj apne me khoye hain
Hum jo ki kal se beparwaah hain

Madhosh jo kiye hain, aankhe teri

Kal ko mere sapno me khoyi hongi
Aur fir guzarte waqt ke saath, ek saaya
Ek jhalak, bhuula hua khwaab, reh jaayega

Aaj jo main pareshaan zulfo ko teri hu suljhaata

Kal maamlaat-e-zindagi me rahunga uljhaa
Aur ye ishq, go ki laafaani hai, laazawaal hai
Kal yaado ki dhuul me kahi ghum jaayega

Ae aatish-e-husn

Magar ek haqeeqat ka

Muje aitraaf karna hai
Zindagi jo ki khushiyo ka
Aur gham ka dayaar hai

Kabhi koi khushi, kitni chhoti hi sahi

Agar haasil hui muje, kisi mod pe kahi
To ek wajah uski hogi zaruur tum
Naa-aashna sahi, chhoti hi sahi

Written BY Zafar Iqbal