September 5, 2010

❃✿❉❥ Happy teacher's Day ❥❉✿❃


Guru ka pad kabhi na chota hoga 
kabhi na iska mahtv kum hoga

Bhalai hii ye duniya kitna bhi vikas kar le
phir bhi guru hi humai achai burai ka gyan de
woh guru hi hai jo banayai jaanvar se dhanvan
woh guru hi hai jo humein deta hai jeevan ka gyaan

Karata hai humein sahi disha ki pechaan
banata hai aadmi ko ek accha insaan
karaata hai praapt jeevan lakshya ko
detaa hai sahaara tootai houe ko

Kartai hain dil se sab iska samaan
aapko meri aur se shat-2 pranaam


Written By