August 25, 2010

✿❉✿❉❥ Dard-e-zindagi hai lafze mohabbat ❥❉✿❉✿


Dard-e-zindagi Hai Lafze Mohabbat
Baad Maut Ke Bhi Ye Ghum Zinda Rahe

Pankharee Shukh Jate Mausam-e-bhar Me
Zard Patte Dar-ba-dar Ho Jate Hawao K Rukh Me

Ye Kaisa Alam Hai, Dar-guzar Bhi Nahi Hota
Ho Kar Guzarti Hai Teri Parchai Jab Darmiyaan Se

Laaziman Karna Padha Tera khayal Na Cha Kar
Warna Murda Dil To Mil Chuka Thaa Khaak Me

Koi Javaaz Nahi Raha, Ab Safar-e-Zeest Ka
Jo Ahbaab The, Sab Chod Gaye Tanha Maidan Me

Ik Muraad the koi Afsurdagee Karne Wala To Milta
Hum Is Baat Par Rooth Kar Dil Ko Tadapta Hua Chod Gaye..

Written By Sana Ahmad 

August 24, 2010

✿❉✿❉❥ Hum Apne Dastan Sunate Rahe ❥❉✿❉✿

Hum Apne Dastan Sunate Rahe 
Log Usko Sun ke Muskurate rahe..
Sadiyon Yuhi Guzarte Rahe 
Ik Din Apne Dastan Pe Khud Hi Muskurane Lagai

WRITTEN BY SANA AHMAD 

August 23, 2010

✿❉✿❃✿❉❥ Yaadon ki Khamoshi ❥❉✿❃✿❉✿


Jane Kyu Ab Ye Dil Ghabrata Hai
Jab Bhi Tera Naam Labon Pe Ata Hai

Tanhai Me Aksar, Ab Yehi Ehsaas Hota
Ki Tu Ab Mere Ass Pass Hi Rahta Hai..

Hai Kyu Itni Khamoshi Tere Hone K Bawajod
Jab K Tu Janta, Mujhe Khamoshi Gawara Nahi Hai

Main Un Lamho Ko Chun Chun Kar Samet Lete
Jin Par Mera Aur Tumhara Haq Banta Hai..

Mujhe Ab Hone Lage Khamoshi Se Mohhabat
Jab Tere Kadmon Ke Nishan Badal Jate Hai..

Samay ke Saath Yaadon K Khamoshi Jati To Nahi...
Magar Dhundhali Zaro Pad Jati Hai..

Tum Dil Me Yaadon Ki Tarah Jalte Ho
Aur Ye Tapish Tumhare Hone Ka Ehsaas Delate Hai..

Written By Sana Ahmad



✿❉✿❃✿❉❥ Me aur meri tanhaai ❥❉✿❃✿❉✿

Tanhai me aansu gir kar fanaa ho gaye,,,
Pal do pal me gulshan sehra ho gaye,,,

Wo aaye hamari zindagi me kuch aise
Koi kagaz kalam bayaan na kar sake jaise,,

Saath guzaara har lamha, awaaz deta hai,
Reh reh kar gurbat me muskurane ki aas deta hai,,

Wo muskurahat, jise dekhkar hum jee uthte,,,
Patjhar me jaise phool khil uthe,,,

Har lamha intezaar rehta tha,,,
Tere kadmon ki aahat ke liye dil bekarar rehta tha,,

Moti bane aanso unke hamari yaad me,,
Par wo izhaar na kar sake apni fariyaad me,,

Wo chehra dekh, tashn lab kuch bayan na kar sake
Darte the shayad naqab posh me ruswa na kar de

Parwana jalta hai, tadapta hai hardum aag me,,
Par afsos shama ko uski mohabbat ka andaza nahi,,

Na jaane kam zarf ho gaye hamare apne,,
Aur bad-bakht bane kaamil sapne,,

Dil-e-jigar dard-e-nasoor ban gaye,,
Apni hi parchayi kafan bana kar so gaye,,

Ek aas lagaye ruh palath kar nida karti hai,,
Purnam nigaah se humdum ka jawaab talab karti hai,,

Jaate hue lamho ko rok le koi,,
Gurbat me mili saansein rok lo koi,,

Tadap rahi hai jaan,kuch aur pal jeene ko
Ki maut kehti hai,,koi ba'ab nahi rukhsat ko,, 


Written By Murtaza Patanwala