July 31, 2010

*** DoSti nikharte hai kareeb aane se ***

DoSti nikharte hai kareeb aane se
Ristai bante hai dilo ke itemad se

Jahan Insan ban jata Musflis nafrato k agai
wahan Dosti hi kaam dete IKhlass aur Mohababt se

Chate to sab hai, ik Muqammal jahan mile dost me
Par ache dosti har ik ko nahi milte itne aram se
Dosti har musoom ka alag roop hote hai
Jo Naye Andaz me khelte aur khusboo dete pyar se

Written By Sana Ahamd 

July 28, 2010

******** TuuTta DhuaaaN ********


 AasmaaN ke hisaar se
Aur zameeN ki pukaar se
Duur
Majbuur
JahaN jannat aur jahannam ka silsila hai
JahaN shar-o-baatil shikast-o-past haiN
Sadaa-e-haq ki guuNj jahaN fizaaoN me hai
JahaN duaayeN kabhi be jawaab nahi haiN

WahiN ek laachaar cheeNkh
Un-suni ho rahi hai
WahiN madad ko tarasti aaNkh
Laa-manzar ho rahi hai
WahiN wafaaoN ka baadal
Paani ko taras raha hai
WahiN ummeedoN ka dhuaaN
Bikhar raha hai, TuuT raha hai


Written By Zafar Iqbal