November 28, 2009


Usne Pocha/ Mai Me Kaha


Usne pocha phir kia howa bakra liya kia
Mai ne kaha mhegaii ne lene na diya

Us ne pocha ab age kia he karne ka iyrada
Mai ne kaha mhegaii bar rahahi he ziada se ziada

Usne pocha kia is dafa qurbani nahi karni
Mai ne kaha ane wale waqt ki mujko koi khabar nahi

Usne pocha isme dil chota karne ki kia he baat
Maine kaha yaar kia batao ache nahi mere halat

Usne pocha is mushkil se kese niklo ge koi to rah nikalo
Maine kaha esa karo bakra choro,tum meri hi qurbani kardalo
 


Written By  Piyarpiyarpiyar





 
 BAKRA MANDI



SOCHA IS DAFA EAD HAM BHI MANAI GE
BAKRA LENE BAKRA MANDI JAI GE

BAKRE KA SUCH KAR DIL LALCHA RAHA THA
NAJANE KAB SE KHOABO ME MAI BAKRA MANDI JA RAHA THA

JAB MOKA MILA TO MAI MANDI POCHA
KIMAT POCHI JO BAKRE KI TO MAI CHOKA

KIMAT SUN KAR BAKRE KI MERA MO KHOLA KA KHOLA RHE GAYA
NAJANE MAI KESE IS DAHCH KE KO SEH GAYA

QIMATAI ASMAAN PAR THI OR BAKRA ZAMEEN PE KHARA THA
PHIR KUCH DERR BAAD MAI BHI MANDI MAI BEHOSH PARA THA

HOSH AYA JO MUJKO TO KHUD KO GHAR KE BISTAR PE PAYA
YE DEKH KAR MAI NE SOCHA MAI YAHA KESE AYA

PHIR SOCHNE PE KHAYAL AYA JO DEKHA SAB KHOAB THA
MAGAR JO BHI DEKHA SACH MAI BOHAT KHARAB THA

PAR MAI IS KHARAB KHOAB KO ZIADA NAHI SOCH NA CHARAHA THA
KIO KE AGLE DIN MAI WAQAII MAI MANDI JA RAHA THA

Written by Piyarpiyarpiyar




 
Call Center


Din bhar ki thahkawat me ese hi owtaarta tha
call senter fone kar ke gappe marta tha

kabhi mobail ko hant nahi lagaya kisi dhang ke kaam se
magar call senter call ki subha tak sham se

free me unse baat karte mujhe jo aik saal hogaya tha
phir bechare call senter walo ka ye haal hogaya tha

kh call atend karte howe wo ghabrate the
kahi dosri taraf me hi na niklo wo dar jate the

kher darne se to koi masla hal nahi hota
wese bhi thik mera mobail aaj kal nahi hota

najane us me kia kharabi aii he
shayad call senter walo ki koi doa rang laii he


Written By Piyarpiyarpiyar




************ Apna/ Sapna ************


kabhi kabhi (koi shaks) kesa hota he
apna hokar bhi (gher jesa) hota he

(jis ko) sab kuch,log apna samaj lete hai
aksar (wohi log) dhoka kio dete hai

hota ye he kh (wo apna) kabhi apna nahi hota
jhot (hota he ye) sach kabhi ye sapna nahi hota

(jis ki) yaad me aksar raat ankho me gozar jati he
asliyat (uski) ham ko bohat derr me nazar ati he

ank jab (is khoab) se hamari kholti he
bas phir zindagi (ishi gam) me sari gholti he

kh (jo shaks) ankho ka sapna howa karta tha
gher nikla (wo jo) kabhi apna howa karta tha

Written BY Piyarpiyarpiyar

 

 



November 25, 2009

********* Nadeeda Nikla *********


Falak Pe Jab Koi Sitaara Taabinda Nikla
Ek Aansoo Aankho Se Naadeeda Nikla

Kal Talak Jis Mehfil Ki Hum Raunak The
Usi Mehfil Se Aaj Main Namdeeda Nikla

Chadha Diya Logo Ne Jise Phaansi
Murdaa Sheher Me Wohi Shakhs Zinda Nikla 

Nafrate Thii Jis Ke Liye Mere Dil Me
Usi Shakhs Ka Main Pasandeeda Nikla 

Lalak Sabhi Ko Hai Sair-E-Falak Ki
Aasmaa Ko Chhune Waala Ek Parinda Nikla

Katl Ke Baad 'Zafar' Manzar Ajab Dekha
Mehfil Me Nam Sirf Kaatil Ka Deeda Nikla

 Written By Zafar  Iqbal



November 24, 2009

❥Woh Milta tha Roz hanste hoe hum se ❥


Woh Milta Tha Roz Hanste Hoe Hum Se
Aarzoo-e-Dil Ko Chupa Kar Hum Se


Barso Se Bunta Tha Sapno Ko Palkoon Pe
Par Kahayalo Mein Khe Jata, Hum Se

OOs ki Hichkichaahat the Rokaawat
Par Itebaar Buland The Hum Se

Dil-Shaad Kar Gai Uski Mohabbat Mujhko
Raha Nahi Gaya Kuch Bole Bagir Humse

Nigaho Mein Basa Liya Us Farishta Ko
Aur Keh Deya, Jo Tawaqqo The Uski, Hum Se
  
Written By Sana Ahmad  


Some Difficult Words With English Meanings
tawaqqo(Expect), Dil-shaad(Glad), Hichkichaahat(Hesitation),Rokaawat(Hinder),



November 23, 2009

****** Magar Mere Mehboob ****

Main tere khyaalo me duub kar
Apni chaahato se, apni wafaao ka
Ek haseen tajmahal taameer to kar du

Magar mere mehboob
Kuchh dard bhari karaahe
Kisi bhooke ki sadaaye
Nange rote-bilakhte bachche

Bam Se Tabaah Koi Dilkharaash Manzar
Mujhe Waapis Kheench Laate Hain
Haqeeqat Me, Dard Bhari Haqeeqat Me

Kandho Pe Phaile Tere Baalo Ko
Teri Aankho Ke Kaajal Ko
Main Raat Se Taabeer To Kar Du

Magar Mere Mehboob
 Ye Raat, Ye Kaali Raat
Kitne Zulm Ko, Kitni Nafrato Ko Samoye Hai
Kitne Maasoomo Ko
Gehre Kaale Khoon Me Bhigoye Hai

Ye Jo Aag Mere Dil Me Lagi Hai
Ishq Ki, Judaai Ki
Milan Ke Baad Bujh To Jaayegi
Jaise Paani Se Aag

Magar Mere Mehboob
Ik Baahar Lagi Hai, Andar Se Bhi Shadeed
Jal Rahe Hain Jangal, Sehra Aur Pahaad
Jal Rahe Hain Makaan-O-Dukaan
Aur Jal Rahi Hai Insaaniyat

Hamaari Mohabbat To Jawaan Hai
Aur Jawaantar Hoti Jaayegi
Dilo Me, Khyaalo  Me, Jazbo Me Hamaare

Magar Mere Mehboob
In Haalaat Me, Aise Zamaane Me
Kya Hamaari Mohabbat Manzil Ko Paayegi
Wo Khwaab Jo Teri Aankho Me Machal Rahe Hain
Kya Haqeeqat Ban Paayenge

Written By Zafar  Iqbal