Showing posts with label Sana Ahmed hindi/ urdu Poems collection. Show all posts
Showing posts with label Sana Ahmed hindi/ urdu Poems collection. Show all posts

July 27, 2011

✿❉✿❉❥ Akar Tum Kho Jaate ho ❥❉✿❉✿



Meri Neendo Me Akar Tum KHo Jaate Ho,
Jab Bhi Jagte,Tum Phir Se Kho Jaate Ho

Aksar To Me Bhul Jati Tera Chehra lekin,
Zid Me Tum Har Raat Yaad Dela Jaate Ho.

MUjhe Tanha Dekh Kar,Tum Kyu Itna Satate Ho
Meri Udasi ko Apne Sath kyu Le Jaate Ho...

khafa Jab Bhi Hoe Teri In Zyatiyon Par,
Tum Mujhe Chup Karwa Ke Kyu Chale Jaate Ho

Aagar Pal Bhar Me Meri Phechan Badal  Jaye..
Tum Meri Soch Ban Kar Roshni Dekha Jaate Ho.

Written By Sana Ahmad



May 2, 2011

❃✿❉❥ Ye Eik Laamhe Ka Faraq Tha ❥❉✿❃



Ye Ghaflat, Jis Par Aab Ye Giila Hai Kaisa .,
Jab Koi Janta Nahi Woh Ajnabi Shaks Hai Kaisa

  Raaz Jaana Tha,Wo Dusron Se Alag Thalag  Kyu,
 Eik Raaz Mera Bhi, Mera Haal Ab Hai Kaisa
 

 Umeedo Ko"Qalam Zad Karna" Intezar me,
  Manzar Ko Dekhna, Samjh Lena,Is Ka Mazah Hai Kaisa

Koi Majboran Husun-E-Dewangi Me Fakir Ban Jai,
Bebasi K Hantho Ruswa Ho, Ab Ye Mazak Hai Kaisa

Raqs Karte hoe Khanjar Hantho K Lakiron Ko badal de..
  Kismat Na Badle, Zakham Rah Jai,Ye Zulim Hai Kaisa

Sana Woh Eik Laamhe Ka Faraq Tha Jo Guzar Gaya,
Ab Apne Kashti Ko Kinara Lagao,Ab Ye Daar Hai Kaisa

Written By Sana Ahmad



February 1, 2011

❃✿❉❥ Woh kheta Sun, Me Khete Suna ❥❉✿❃



Woh Jab Bhi Kheta
" SUN"

Naa Jaane Mere dil Me Kyu,

Ik Kashmakash Se Uthte..

Aur Mere Labon Pe,

Ik Hi Jawab Hota..

Jo Dil Se Chu Kar Ata

Aur Khe Jata Usse...

" Suna"


Mohabbat Hona ..

Azmaish Se Kam Nahi,

Kabhi Khushiyon Bhagate

Dil Ke Taraf Ko...

Aur Kabhi Dard Bhagata,

Tote Hoe Dil Ke Taraf Ko..


Rasta Dono ka
Ik Hi Gali Ko Jata Tha,

Naa Jaane Kyu Us Gali Par

Do Alag Darwaaze The..

Be-Tahaasha Dard Tha,

Lamha Judai Ka,

Hai The Koi Maslehat,

Jis Ke Khabar Mujhe To The.

Naa Jaane Tum Kyu,

Andhere Me The..


Ik Mehal Ka Tasuwar..

Jis Ke Imarat Kaanch Ke The,

Jo Teri Aur Meri

In Khubsurat Aankho Nai

Milkar Dekha Tha,

Us Ke Imarat Ban To Gai,

Magar Us Ka Kabar Daar

Rakhne Waala Ab

Tum Nahi Koi Aur Hai..


Tum Aabi Rang Mein,

Apne Dard Ko Chupa Kar,

"Musafir" Ban Gai..


Jahan Hosla Duba,

Wahan Rishte Parakhchay Me

HO Kar Juda Hogai..


Naa Jaane Tumko Kitna,

"Dard-e-hasraat"

Se Guzarna Pada Ho Ga..

Jab Hamare Tasuwar Ko

Bheta Dekha Hoga..


Magar Mera Ehsas,

Aur Woh Alfaz

Jo Ab Mera Dard Ban Gaya Hai

Jo Tum Jate Waqat Khe Gai The..


"SUN SANA"

"Khush Rehna"


Written By Sana Ahmad


Some Difficult word meaning in English 

Aabi rang= water colour, 
 Imarat= building,
Maslehat =  reason
Parakhchay= pieces 
kabar daar = take care



January 11, 2011

❉❥ Khali Annkein Aur unke khamosh khwab ❥❉


Khali Annkein Aur Unke Khamosh Khwab.,
Jin Ke Tabeer, Aur Fatah Dur Tak Nahi..

Hawaalah Takleef ka, Aur Uska Muskarata Roop .,
Insaan Shuru Me Rota, Magar Ye Aansoo Daayemi Nahi..

Zamiir Ke Khalish, Aur Inkaar Is Sachai Se.,
Lekin, Hemaayati Aanso Ka, In Sab Se Koi Sauda Nahi..

Hai Kyu Ye Ubarte Sifat-e-atish Ban Kar ...
Magar Is Me Bhi In Ka Apna Koi Kasoor Nahi ..

Ishaarah Kai Bar Zindaan Ke Taraf Ko...
Jahan Jalte Hoe khwabo  Ko koi Madad nahi..

Khwab Ik Daire Se Dusre Daire Ko Chu Jate.,
Bas Zindagi Ka Us Se Wafa Ka Taqaza Nahi..

Abhi Bhi Waqat Hai Sana Aakiri Zarb Tay Karne Ka.,
Par Itni Asani Se In Khwabon Se Dast-Bar-Daari Nahi.

Written By Sana Ahmad 


January 6, 2011

❉❥ Intezar Ka Rasta Dekha Ke Chala Gaya❥❉


Woh Barso Poorani Baatein khurach kar Chala Gaya
Meri Pakeeza Mohabbat Ko Ilzam Laga Ke Chala Gaya

Jo Bheyd Chupa Kar Rakha Tha Hum  Nai .,
Wo Aaj Uska Churcha Kar Ke Chala Gaya ..

Mere Israar Karne Se, Us Ke Teywar Badalte Gai.,
Bade Be Parwaai Se, Daagh Daar De Ke Chala Gaya

Woh Naye Jagha Me, Naye Dost Banata Raha..
Mujhe Tanha Khali Makaan Me Chor Ke Chala Gaya..

Kal Tak Me Jin Baaton ko Nazar Andaaz Karte The
Aaj Wo Mujhe Use Shaaq Me Daal Ke Chala Gaya..

Sana Jo Tere Na Hone Pe Kabhi Fikar Karta Tha..
  Woh Aaj Khud Intezar Ka Rasta Dekha Ke Chala Gaya..

Written By Sana Ahmad



August 25, 2010

✿❉✿❉❥ Dard-e-zindagi hai lafze mohabbat ❥❉✿❉✿


Dard-e-zindagi Hai Lafze Mohabbat
Baad Maut Ke Bhi Ye Ghum Zinda Rahe

Pankharee Shukh Jate Mausam-e-bhar Me
Zard Patte Dar-ba-dar Ho Jate Hawao K Rukh Me

Ye Kaisa Alam Hai, Dar-guzar Bhi Nahi Hota
Ho Kar Guzarti Hai Teri Parchai Jab Darmiyaan Se

Laaziman Karna Padha Tera khayal Na Cha Kar
Warna Murda Dil To Mil Chuka Thaa Khaak Me

Koi Javaaz Nahi Raha, Ab Safar-e-Zeest Ka
Jo Ahbaab The, Sab Chod Gaye Tanha Maidan Me

Ik Muraad the koi Afsurdagee Karne Wala To Milta
Hum Is Baat Par Rooth Kar Dil Ko Tadapta Hua Chod Gaye..

Written By Sana Ahmad 

August 24, 2010

✿❉✿❉❥ Hum Apne Dastan Sunate Rahe ❥❉✿❉✿

Hum Apne Dastan Sunate Rahe 
Log Usko Sun ke Muskurate rahe..
Sadiyon Yuhi Guzarte Rahe 
Ik Din Apne Dastan Pe Khud Hi Muskurane Lagai

WRITTEN BY SANA AHMAD 

August 23, 2010

✿❉✿❃✿❉❥ Yaadon ki Khamoshi ❥❉✿❃✿❉✿


Jane Kyu Ab Ye Dil Ghabrata Hai
Jab Bhi Tera Naam Labon Pe Ata Hai

Tanhai Me Aksar, Ab Yehi Ehsaas Hota
Ki Tu Ab Mere Ass Pass Hi Rahta Hai..

Hai Kyu Itni Khamoshi Tere Hone K Bawajod
Jab K Tu Janta, Mujhe Khamoshi Gawara Nahi Hai

Main Un Lamho Ko Chun Chun Kar Samet Lete
Jin Par Mera Aur Tumhara Haq Banta Hai..

Mujhe Ab Hone Lage Khamoshi Se Mohhabat
Jab Tere Kadmon Ke Nishan Badal Jate Hai..

Samay ke Saath Yaadon K Khamoshi Jati To Nahi...
Magar Dhundhali Zaro Pad Jati Hai..

Tum Dil Me Yaadon Ki Tarah Jalte Ho
Aur Ye Tapish Tumhare Hone Ka Ehsaas Delate Hai..

Written By Sana Ahmad



December 17, 2009

✿❉✿❃✿❉❥ Teri Yaad Me ❥❉✿❃✿❉✿

Teri Yaad Me 
 
Is Dil Ko Teri Yaad Buhat Aaye
Phoot Ker Roe,Aur Neend Buhat Aaye

Aankho Ki Ras Ko Qaid Kya Muthi Me
Moti Dekha, Khushi Raas Buhat Aaye

Chand Ki Kirno Mein, Fairshta aya
Janat dekhe,Chehre Pe Ronak Buhat Aaye

Phoolo Ki Kangan Se,Sajayi jo kaalai
Mehki khusbo,khud se Sharm buhat aaye

Har Chera Me Tera Chera Nazar Aaya
Jo Na Tha,Us Pe Be-Dard Barish Buhat Aaye

Thikaanaa khoya, Thokar Buhat Khai
Kabhi Taqdeer Pe Roe,Kabhi Hanse Buhat Aaye

Sana ki Apne Tamana apne dil me he rah gai
Par us ko Apne Maa ki Duaine yaad Buhat aye


Written By Sana Ahmad


November 24, 2009

❥Woh Milta tha Roz hanste hoe hum se ❥


Woh Milta Tha Roz Hanste Hoe Hum Se
Aarzoo-e-Dil Ko Chupa Kar Hum Se


Barso Se Bunta Tha Sapno Ko Palkoon Pe
Par Kahayalo Mein Khe Jata, Hum Se

OOs ki Hichkichaahat the Rokaawat
Par Itebaar Buland The Hum Se

Dil-Shaad Kar Gai Uski Mohabbat Mujhko
Raha Nahi Gaya Kuch Bole Bagir Humse

Nigaho Mein Basa Liya Us Farishta Ko
Aur Keh Deya, Jo Tawaqqo The Uski, Hum Se
  
Written By Sana Ahmad  


Some Difficult Words With English Meanings
tawaqqo(Expect), Dil-shaad(Glad), Hichkichaahat(Hesitation),Rokaawat(Hinder),



November 21, 2009

❉❥ Na Main Heer, Na Tu Hai Raanjha ❥❉


Na Main Heer, Na Tu Hai Raanjha
Pyar Me Dard Magar Hai Sehna

Mile Jo Ranjha Ban Kar Mujhe Tum
Husn Mera, Ho Gaya Kaatil Tera

Pyar Se, Bahut Chaao Se Tum Kehte
Meri Heer Tu Meri Raato Ka Taara Hai
Koyal Jaisi Meethi Hai Aawaaz Teri
Kaano Me Ghol Di ho Jaise Misri Ki Dali
 
Meri Zulfo Ko Chhu Jaate Tere Lab 
Bhar Ke Aankho Me Ajeeb Si Shararat
Chal Pade Hum Anjaan Safar Par
Kabhi Socha Na Anjaam Humne
 
Mohabbat Se Laga Jo Dar Thaa 
Khabar Hui Mujhe Aur Zamaane Ko

Piya Maine Zeher Ka Pyaala Pyaar Me
Mehndi Ka Rang Hua Laal Khoon Se
Siya Tune Zakhmo Ko Kaanto Se
Machal Uthi, Tadap Uthi Dharti Fir Se
Heer Raanjha Ki Daastaan Se
 
Written By Sana Ahmad 
 


November 19, 2009

❥ Khushi Aur Muskan Ki Bagawat Mujh say ❥


Khushi Aur Unki Mohabbat Ki Jo Dua Mangi Hum Nai
Mila Sirf Dard -E -Tanhai Aur Bichadne Ka Ghum Hum KO

Naseeb Mein Jo Likha Tha Judaai ka Ghum Sehna
Jab Bicharna Hi Tha To Kya Fir Milna Zaroori Tha Hum KO

Saza Ye Hum Ko Kaise Mile Mohabbat Karne Par
Ke khud Muskan Nai Bagawat KI Hum Say Aur Deya Aansoo Hum KO

   
Written BY Sana Ahmad 

November 12, 2009

✿❉✿❃✿❉❥Hai Zara Sa Safer ❥❉✿❃✿❉✿


 Hai Zara Sa Safar,
Guzar Jai Ga Ye Bhi
Dhoop Ki Tapish Mein
Saya Bhi Mil Jai Ga
Badal Jo Roya Aaj Buhat
Kaal Wohi Muskare Ga
Ye Kisa Hawa Ka Choor
Pathar Dilo Ko Toora
Zindagi Ke Hazar Rasto mein
Meri manzil ko rasta mila
Akhari Khwahish jo the meri
Us ko sahil ka kinara mila

Written By Sana Ahmad 






November 5, 2009

****** Ashkon ki Barsat bha na sakoon ***



Dur Na Ja Sakoon Fir say

Ashkon ki Barsat bha na sakoon fir say

khamoshi Se Mera Dam Ghutta Hai

Shayad Na Nibha Sakoon Dosti Fir Say

Written By Sana Ahmad





September 8, 2009

❉❥Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya❥❉


Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

Na jaane kaun, aaya kaha se thaa ? .

Aahat Se Uski Mujhe Hone Lagi Thi Wahshat,

Par woh mujh ko Paigham-e-mohabbat De Gaya Tha !

Dil mein uthi Tadap, us ki Sakhawat dili ki wajah se,

Aur aisa nasha hua, jo ki jaavedaa tha!

Us ke aane say jo is dil main roshni hui hai ab

Warna to is dil mein koi taara bhi na chamka tha

Dekha Jab sab ne , meri aankho main us ka chehra,

Sab ko laga aaj who mujhey apney dulhan bana gaya tha!

Written By Sana Ahmad


September 7, 2009

***** Meri Khwaabo KI Tasveer ****


Meri khwaabo ki tasveer adhuuri rah gayi,

Bata tu kaun hai aur kahan se aati hai ab to!

Ajeeb dard main mubtala hoon main ab,

Roz merey sapno ko jaga kar jaati hai ab to !

Sawal hai merey bahut se, jawab ek bhi nahi,

Ulajhta hu main roz inhee sawaalo se ab to !

Teri shafaq jaisi surat nazar aati hai mujh ko,

Teri hansi mere man ko bhaa jaati hai ab to !

Tu mohabbat ki kiran ban kar aati hai is dil ko,

Aur mere wajud ko hila kar chali jaati hai ab to!

Tu mat le mera imtehan ke main dub jaauu us me,

Main roz ladta hu tujh se apney khawobo main ab to!

Roz ek hi sawal karta hoon main tujh se

Bata de ab tu, tu kaun hai, mat le mera imtehan ab to!

Ek aawaaz atey hai us ki , aur khaamoshi ko tod jaati hai,

Tadpa deti hai mujh ko , aur ek hi pal main keh jaa to, ab to

Main wo hu jo tere darwaze pe roz dastak deti hai

Aur waapis laut jaati hai apni majburi ke sath ab to !
 
Main behte huey paani ki tarah rukti nahi hu ab ,

Tere saare khwaabo usey main bhe jatey hai ab to !

Tere saare sawaalo ke jawab mil gaye honge ab tujh ko,

Koi aur naya sawal ho to woh bhi kar jaa mujh se ab to!

Written By Sana Ahmad 




August 30, 2009

✿❉✿❉❥ Aaj Bhi Intezar Hai Us ka ❥❉✿❉✿


Mujhey Aaj Bhi Kissi Ka Intezar Hai

Ek Aise Shaks ka Jis Ko Mujh Se Pyar Hai

Lakh Dilasa de Luun Iss Dil KO

Magar yeh dil us ke liye bekrar hai

Par Ek Khayaal Dil Ko chu Jata Hai.

Kya Woh Mera Khayal Hai Ya Fir Woh Ek Sawal Hai

Kasam Hai us ke Mujhe Aaj Bhi oos Say Sacha Pyar Hai

Kya oos ko Mera Itna He Intezar Hai Jitna Mujhe Us Pe Itebar Hai

Us ke khamoshi mujh ko ab mar deti hai 



Dil Bolta Hai Mujh Se , Key Tu Aaj Bhi Wohi Sawal kar

Jis Ka Mujhe Aaj Bhi Intezar Hai ..........

Written By Sana Ahmad