November 16, 2011

✿❉Hazrat Ali ( RADI ALLAHU ANHO ) K Aqwal❉✿


Kisi nai Hazrat ALI R.A se poocha:
"Dost aur bhai main kya farq hai?"
Aap ne farmaya:
"Bhai sona hai aur dost heera hai."
Us aadmi ne kaha:
"Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?"
To aap ne farmaya:
"Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta."

****************************************************************************************

Hazrat Ali Says:
Kabhi apne dost k sachi ka Imtahan na lo
Kya pata us waqat wo majbor ho aur tum galat fahmi me
ik acha dost kho b
aitho.


✿❉✿❃✿❉❥ Itmenan Aur Sukoon ❥❉✿❃✿❉✿


IK Shaks nai ik buzurg se Itmenan aur sukoon ka raaz pocha.
Buzurg nai jawab deya.
Agar tum duniya me sukoon aur iteman k saath duniya se ruksat hona chahta hai to in 6 mashwaro pe amal karo.

"Duniya ke luye itni mehnat kar jitna tujhe yahan rehna hai".
Aakhrat ke liye itni mehnat kar jitna tujhe wahan rehna hai"
  
"ALLAH ki raza ke liye itni koshish kar jitna tu us ka mohtaj hai"

"Gunah itna kar jitna tujh mein azaab sehne ki taqat hai"

"Jab tu ALLAH ki nafarmani kare to wahan ja jahan tujhe woh na dekhe"


"Sirf usi zaat se maang jo dusron ko mohtaaj nahi hai"