September 7, 2009

***** Meri Khwaabo KI Tasveer ****


Meri khwaabo ki tasveer adhuuri rah gayi,

Bata tu kaun hai aur kahan se aati hai ab to!

Ajeeb dard main mubtala hoon main ab,

Roz merey sapno ko jaga kar jaati hai ab to !

Sawal hai merey bahut se, jawab ek bhi nahi,

Ulajhta hu main roz inhee sawaalo se ab to !

Teri shafaq jaisi surat nazar aati hai mujh ko,

Teri hansi mere man ko bhaa jaati hai ab to !

Tu mohabbat ki kiran ban kar aati hai is dil ko,

Aur mere wajud ko hila kar chali jaati hai ab to!

Tu mat le mera imtehan ke main dub jaauu us me,

Main roz ladta hu tujh se apney khawobo main ab to!

Roz ek hi sawal karta hoon main tujh se

Bata de ab tu, tu kaun hai, mat le mera imtehan ab to!

Ek aawaaz atey hai us ki , aur khaamoshi ko tod jaati hai,

Tadpa deti hai mujh ko , aur ek hi pal main keh jaa to, ab to

Main wo hu jo tere darwaze pe roz dastak deti hai

Aur waapis laut jaati hai apni majburi ke sath ab to !
 
Main behte huey paani ki tarah rukti nahi hu ab ,

Tere saare khwaabo usey main bhe jatey hai ab to !

Tere saare sawaalo ke jawab mil gaye honge ab tujh ko,

Koi aur naya sawal ho to woh bhi kar jaa mujh se ab to!

Written By Sana Ahmad 




5 comments:

  1. wow isme me dil se nikli baat hai
    great
    hey ur pick is loonking great from back what about ur front view
    lol

    ReplyDelete
  2. yeah.........u ryt nabeel....i wrote dis poem by soul

    Nabeel....don't see the front view.it's horrible ....lol

    ReplyDelete
  3. gudddd uski bhut yaad a rhi hai kyaa huuuuuuuuuum vese tum to ekdem junooni shyar ho gai gai ho her alfas chun chun kr nikalti ho

    ReplyDelete
  4. Parkesh bhai

    eik tu shukriya , poem pasnad karney ka aur samjhne ka bhi, waise mein koi junooni shyar nahi hoon, bas aise he likh deya hai.

    haan woh yaad buhat a raha hai na.........dur hai mujh say aaj kaal.........

    ReplyDelete
  5. Alfas tu mein chun chun kar nikalti hoon....magar poem key correction merey zafar bhai kartey hai.....un say pochna meri hindi kisi hai....lol

    ReplyDelete