September 23, 2009

************ Pyaari Maa ********

 
Jab hum chotai bachai thai
Maa ko khuub tang kiyaa karte thai

Woh maa hi hai jiski gaud mein palai badai
Jisne humein chalna sikhaya
Apne komal haathon se humein khaana khilaaya
Apna doodh pilaa ke humein seencha
Achai burai ka farak seekhayaaaa

Woh maa hi hai jisne humari galtiyon ko sudhaara
Humein sahi raasta dikhaaya
Humaari khushi mein woh bhi khush ho jaati
Hum pe bahuut sara pyaar barsaati

Woh maa hi hai jo humaare dukh mein aansuin bahaati
Humein himat deti....... kadam-2 pe humara saath deti
Khush naseeb hain woh log jinke pass maa hai
Haan maa hi hai jisske saath poora sansaar bastaa hai



Written BY kshitij Mehta
 
 

 



1 comment: