December 7, 2009

❃✿❉❥ Jawab Aap Ke Naam ❥❉✿❃


Achi achi si hai aap ki sari batai
Piyari piyari si hoti hai ye sab molaktai


Magar kia karo k waqt par mera ikhtiyar nahi hota
Isliye hazir me har dafa baar baar nahi hota


Magar jitna ho sakta he utna to me kar deta ho
Jawab jitna kismat me he usqadar deta ho


Par achi saheli jawab parkar tumhare sare
Acha laga bohat,sab jawab the bohat hi piyare


Bas akhir me mai ye khena chahoga
Phir kh kar mai chala jao ga


Jo kabhi derr ho jai
Or kabhi jawab na ai


To samaj lena k masroof ho me kisi kaam me
Ye na samaj na ke kar raha ho kahi aram me


Bas abhi jitna likha he utna he kafi
Kuch mazeed likho ga to hoga izafi


Bas jo ikhtiyar tha abhi wo kaam kar diya
Or jo kuch karsaka aap ke naam par kiya

Written By PiyarPiyarPiyar










1 comment: