October 27, 2010

✿❉✿❃✿❉❥ Ae Husn-E-Jawaa ❥❉✿❃✿❉✿

Ae husn-e-jawaa

Jaisa ki hamesha hai huaa

Waqt ek din karwat badlega
Hum jo ki aaj apne me khoye hain
Hum jo ki kal se beparwaah hain

Madhosh jo kiye hain, aankhe teri

Kal ko mere sapno me khoyi hongi
Aur fir guzarte waqt ke saath, ek saaya
Ek jhalak, bhuula hua khwaab, reh jaayega

Aaj jo main pareshaan zulfo ko teri hu suljhaata

Kal maamlaat-e-zindagi me rahunga uljhaa
Aur ye ishq, go ki laafaani hai, laazawaal hai
Kal yaado ki dhuul me kahi ghum jaayega

Ae aatish-e-husn

Magar ek haqeeqat ka

Muje aitraaf karna hai
Zindagi jo ki khushiyo ka
Aur gham ka dayaar hai

Kabhi koi khushi, kitni chhoti hi sahi

Agar haasil hui muje, kisi mod pe kahi
To ek wajah uski hogi zaruur tum
Naa-aashna sahi, chhoti hi sahi

Written BY Zafar Iqbal 



No comments:

Post a Comment