October 27, 2010

❃✿❉❥ Hasee Shaam, Dhalta Hua Suraj ❥❉✿❃


Hasee shaam, dhalta hua suraj
Khula aasmaan aur jhaankta hua chaand
Mand mand thandi hawaa
Chai ki chuskiyaa, beparwaahi ke maahaul me
Ehsaasaat kahi khoye khoye
Aur manaazir me bhatakti nigaahe

Da’fatan nigaahe theher jaati hain

Shaam ke naakaamyaab andhere me
Kuchh tuute hue jism
Kuchh bikhri hui ruuhe
Kaandhe pe uthaaye koi laash
Chale jaate hain

Wo tuute hue jism

Wo bikhri hui ruuhe
Pehchaane se lagte hain
Jaise koi naadeeda sa puraana ta’alluq
Jaise koi bhuli hui yaad
Jaise bikhri hui khushbu

Mehngaai me uljhe hue

Kasht-o-khuun se sehme hue
Dimaag pe
Jab kuchh zor daala
Maiyyat ko bamushkil pehchaana

Wo tuute hue jism

Wo bikhri hui ruuhe
Khaamosh lab, be-roshan nigaahe
Apne naatawaa kaandho pe
Sach ki laash ko uthaaye
Chale jaa rahe hain

Written By Zafar Iqbal  



No comments:

Post a Comment