August 28, 2009

*************Har Rang Main Jaisay *************

liktey hoon main is andaz say ab,

Har rang main jaisay tum he tum ab


Jab dil ka dard beqabu honay lagay

mera qakal jaisay mery zindagy ka dard bikhernay lagay

to nay jo kheencha hay mery kismet-e-shikasta ko dard se

Roz rota hai mera ye kalam kuch likhney se ab

Mera kalam ko jaisay roonay ki adaa mil gaey

Kash mera kalam merey hatho'n ki lakeer badal sakay ab,

Lakh kohish karo apney hatho'n ke lakeero ko badalne ke!

pur bhool gaye the mere ye kalam na bikhray ga bina dard k ab....

jo bhi koi takhleeq-e-lakeer ho who us main ab dard he dard hota hai

kash merey hatho'n ke lakeer ko koi badal sakay ab 





Written by Sana Ahmad




No comments:

Post a Comment